Wednesday, December 24, 2008

Arman

Aaj bhi Ichaayen Adhuri hain,
Armaano ko paane ki doori hai,
Waqt ka pahiya itna dheema chal raha hai,
Maano man ke armaano ko kuchal raha hai...

Ichaayen anginat jo hai is man main,
Uth uth kar bahar aati hai,
Uksaati hai Jalati hai,
Man ko dastak de de kar khaak kar jaati hai...

Jee rahe hai kheech kheech kar is jeevan ko,
Armaano ki pyaas bujhane ko,
Kuch armaan to apne hote hai,
Kuch apno ke poore kar jane ko...

Ruka hua hai man, yun shant sa hokar,
Jalte angaaron par apni Ichaayon ko jalakar,
Shayad aayega ek din naya sooraj lekar,
Kamyabi ki kirne aasmano ko chukar...

Basegi khushiya har ek pal main,
Jab poora karenege hum apne adhure sapne,
Bas us pal ke aane ka Intezaar hai,
Tab tak humpar Armaan poora karne ka khumar hai...