Aaj bhi Ichaayen Adhuri hain,
Armaano ko paane ki doori hai,
Waqt ka pahiya itna dheema chal raha hai,
Maano man ke armaano ko kuchal raha hai...
Ichaayen anginat jo hai is man main,
Uth uth kar bahar aati hai,
Uksaati hai Jalati hai,
Man ko dastak de de kar khaak kar jaati hai...
Jee rahe hai kheech kheech kar is jeevan ko,
Armaano ki pyaas bujhane ko,
Kuch armaan to apne hote hai,
Kuch apno ke poore kar jane ko...
Ruka hua hai man, yun shant sa hokar,
Jalte angaaron par apni Ichaayon ko jalakar,
Shayad aayega ek din naya sooraj lekar,
Kamyabi ki kirne aasmano ko chukar...
Basegi khushiya har ek pal main,
Jab poora karenege hum apne adhure sapne,
Bas us pal ke aane ka Intezaar hai,
Tab tak humpar Armaan poora karne ka khumar hai...
Wednesday, December 24, 2008
Friday, October 26, 2007
BHAVNAYEIN
Badi ajab si hoti hain,
Jinka koi samay nahi,
Jinka koi roop nahi,
Bas thapthapati aati hain.... Bhavnayein.
Inko sambhalna bhi mushkil,
Doosron ki samajhna bhi mushkil,
Kathor bhi hain, Rochak bhi,
Phir bhi chahte hai sabhi inhe..
Aati hai tufaan lekar,
Jaati hain aansu dekar,
Chahe phir wo kyun na pyaar ho,
Yaa phir narazgi main rehkar..
Judi hai Man aur Dil ki taaron se,
Jo vash main nahi aati kisike,
Karle ikkatha inko jo apne dil main,
Palat kar bura kahar barsa deti hai usi pe..
Kuch kehte hain inhe vyaakt karlo,
Kuch kehte hai tyaag do,
Par inmein se koi bhi aisa upay nahi,
Jinka kabhi prayaas ho..
Janmein hai inke sath,
Inhi ke sath jana hai,
Kisike liye unchai ka darja,
To kisike liye dukh ka paimana hai..
Soch ko shabd ka roop na do,
Par bhavnaon ko sharir dedo,
Kyunki bhavnaayein to bholi hoti hai,
Badnaami ka naam SOCH se palatkar inko naa do..
Jinka koi samay nahi,
Jinka koi roop nahi,
Bas thapthapati aati hain.... Bhavnayein.
Inko sambhalna bhi mushkil,
Doosron ki samajhna bhi mushkil,
Kathor bhi hain, Rochak bhi,
Phir bhi chahte hai sabhi inhe..
Aati hai tufaan lekar,
Jaati hain aansu dekar,
Chahe phir wo kyun na pyaar ho,
Yaa phir narazgi main rehkar..
Judi hai Man aur Dil ki taaron se,
Jo vash main nahi aati kisike,
Karle ikkatha inko jo apne dil main,
Palat kar bura kahar barsa deti hai usi pe..
Kuch kehte hain inhe vyaakt karlo,
Kuch kehte hai tyaag do,
Par inmein se koi bhi aisa upay nahi,
Jinka kabhi prayaas ho..
Janmein hai inke sath,
Inhi ke sath jana hai,
Kisike liye unchai ka darja,
To kisike liye dukh ka paimana hai..
Soch ko shabd ka roop na do,
Par bhavnaon ko sharir dedo,
Kyunki bhavnaayein to bholi hoti hai,
Badnaami ka naam SOCH se palatkar inko naa do..
Wednesday, September 26, 2007
Waqt
Samay chalti dhara hai...
koi jeeta koi hara hai..
humare bas main nahi usko kabu karna...
kyunki isime jine ka har ek sahara hai
koi jeeta koi hara hai..
humare bas main nahi usko kabu karna...
kyunki isime jine ka har ek sahara hai
Saturday, September 08, 2007
WAQT
Kabhi accha kabhi bura kehlata hai,
Kitno ko hasata kitno ko rulata hai,
Sabko jakad rakha hai apne jaal main,
Waqt bada bura hai kalyug ke kaal main..
Aise roop main ata hai saya bankar,
Har haalaat ko palatkar rakh deta hai,
Jinhone pala hota hai apne bankar,
Wo bhi is pal main sath chod deta hai..
Thes pahunchti hai dil ko itni,
Jab jo kabhi socha na tha wo dikhe,
Aaj humare hath bandhe hue hai,
To apne bhi mooh modte dikhe..
Janaa hai jisne jab wo naa samaj paya,
Bure waqt main jab mera sath na de paya,
Kya main mere waqt ko dosh dun,
Jisne muje sabka rang dikhlaya..
Phir kya kasur hai mere is pal ka,
Jo sab par rooth kar ata hai,
Bas sikhata hai humko yehi itna,
Ki bure waqt main apno ka bhi sath chooot jata hai
Kitno ko hasata kitno ko rulata hai,
Sabko jakad rakha hai apne jaal main,
Waqt bada bura hai kalyug ke kaal main..
Aise roop main ata hai saya bankar,
Har haalaat ko palatkar rakh deta hai,
Jinhone pala hota hai apne bankar,
Wo bhi is pal main sath chod deta hai..
Thes pahunchti hai dil ko itni,
Jab jo kabhi socha na tha wo dikhe,
Aaj humare hath bandhe hue hai,
To apne bhi mooh modte dikhe..
Janaa hai jisne jab wo naa samaj paya,
Bure waqt main jab mera sath na de paya,
Kya main mere waqt ko dosh dun,
Jisne muje sabka rang dikhlaya..
Phir kya kasur hai mere is pal ka,
Jo sab par rooth kar ata hai,
Bas sikhata hai humko yehi itna,
Ki bure waqt main apno ka bhi sath chooot jata hai
Sunday, August 26, 2007
Masti..
Baat hai us waqt ki,
Jab naa jante the hum,
Ki jiske itne karib honge,
Wo ajnabee hoge tum..
Waqt beeta pal guzre,
Aya wo din anokha sa,
Khushi thi armaan tha,
De gaya ehsas lambe sath sa..
Ghabra raha tha dil,
Baatein hongi kis baat par,
Aaj aisa din aya hai,
Rok nahi hai baton ke silsile par..
Wo ajnabee aaj jeevan ka hissa hai,
Bekabu kar gaya hai dil ko mere jo,
Pyasi ankhen tarasta man bas ab,
Har pal marta hai unhe dekhne ko..
Jee rahe hai bin unke,
Peechle kuch dino se,
Le rahe hai sanse, beete kuch,
Palon ki yaadon se..
Aapke hathon ka sparsh,
Aaj bhi dil main umang jagata hai,
Aur wo naram honto ka ehsas,
Jeena mushkil kar jata hai..
Wada hai aapse mera,
Aapko kabhi na khafa karenge,
Bas hume itna pyar dena,
Nahi to naa jine ki khata karenge..
“Pyar” mehez ek shabd nahi,
Ekjut hai kai bhaavnaon ka,
Aapse hum pyar kartein hai,
Jo hissa hai meri MASTI ka..
Jab naa jante the hum,
Ki jiske itne karib honge,
Wo ajnabee hoge tum..
Waqt beeta pal guzre,
Aya wo din anokha sa,
Khushi thi armaan tha,
De gaya ehsas lambe sath sa..
Ghabra raha tha dil,
Baatein hongi kis baat par,
Aaj aisa din aya hai,
Rok nahi hai baton ke silsile par..
Wo ajnabee aaj jeevan ka hissa hai,
Bekabu kar gaya hai dil ko mere jo,
Pyasi ankhen tarasta man bas ab,
Har pal marta hai unhe dekhne ko..
Jee rahe hai bin unke,
Peechle kuch dino se,
Le rahe hai sanse, beete kuch,
Palon ki yaadon se..
Aapke hathon ka sparsh,
Aaj bhi dil main umang jagata hai,
Aur wo naram honto ka ehsas,
Jeena mushkil kar jata hai..
Wada hai aapse mera,
Aapko kabhi na khafa karenge,
Bas hume itna pyar dena,
Nahi to naa jine ki khata karenge..
“Pyar” mehez ek shabd nahi,
Ekjut hai kai bhaavnaon ka,
Aapse hum pyar kartein hai,
Jo hissa hai meri MASTI ka..
Tuesday, July 17, 2007
WOH BHI KYA DIN THE
PYAR KARTE THE PAR TUMHI SE CHUPAYA KARTE THE,
MILNE KI AAS RAKTE THE PAR TUMHI SE SHARMAYA KARTE THE,
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
SANSE TEZ CHALTI JAB TUMSE NAZAR MILAYA KARTE THE,
CHUNA CHAHATE THE PAR TUMHI SE DOOR RAHA KARTE THE,
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
DAR THA HUMEIN KI KAHIN TUMHE YE RAAZ NA PATA CHAL JAAYE,
BHATAKTI ANKHOON AUR TEZ SANSON SE HAALE DIL BAYAN NA HO JAYE,
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
DUA KARTE THE KI HAR GHADI TUMHARE PASS REH SAKE HUM,
PAR AATE HI TUMHARE SAAMNE BAADLON MAIN HUM KAHIN CHUP SE JAATE THE,
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
KOSHISH KI KAI BAAR IS BAAT KO TUMSE JATANE KI,
AAJ BHI DAFAN HAI SINE MAIN WHO BAAT EK RAAZ SI,
JO KADAM BADANA CHAHTE THE TUMHARE PYAR KI AOR,
MOD DIYA KUCH LOGON NE RUKH UNKA..
PAKDA DI HATH BAS MAIKHANE KI DOR..
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
MILNE KI AAS RAKTE THE PAR TUMHI SE SHARMAYA KARTE THE,
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
SANSE TEZ CHALTI JAB TUMSE NAZAR MILAYA KARTE THE,
CHUNA CHAHATE THE PAR TUMHI SE DOOR RAHA KARTE THE,
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
DAR THA HUMEIN KI KAHIN TUMHE YE RAAZ NA PATA CHAL JAAYE,
BHATAKTI ANKHOON AUR TEZ SANSON SE HAALE DIL BAYAN NA HO JAYE,
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
DUA KARTE THE KI HAR GHADI TUMHARE PASS REH SAKE HUM,
PAR AATE HI TUMHARE SAAMNE BAADLON MAIN HUM KAHIN CHUP SE JAATE THE,
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
KOSHISH KI KAI BAAR IS BAAT KO TUMSE JATANE KI,
AAJ BHI DAFAN HAI SINE MAIN WHO BAAT EK RAAZ SI,
JO KADAM BADANA CHAHTE THE TUMHARE PYAR KI AOR,
MOD DIYA KUCH LOGON NE RUKH UNKA..
PAKDA DI HATH BAS MAIKHANE KI DOR..
WOH BHI KYA DIN THE,
JO TUMHARE SAAYE MAIN BITAYA KARTE THE..
Tuesday, July 10, 2007
KALAM AUR KHAALI PANNE
Kholi maine ek kitaab,
Jiske panne the saaf saaf,
Chahti thi unpar kuch likhna,
Par man naa de raha tha sath..
Kabhi chaha likhna bachpane par,
To kabhi budhaape par likhna chaha,
Kabhi is desh ki durdasha par,
To kabhi jeevan ki dukhmai chaya..
Khaali panna taras raha tha,
Hawa ke jhonke se ud raha tha,
Cho raha tha meri ungaliyon ko,
Mujse kuch accha likhne ko keh raha tha..
Hath main kalam thi syahi bhari,
Jakdi padi thi ungaliyon main meri,
Vo bhi chahti thi kuch likhna,
Chahti thi un safed panno ko rangdena..
Aakhir maine socha bohot,
Phir bhi naa dhund pai koi accha marg,
Aankhen uthakar jab dhyan se dekha,
To khuli kitab par paya --- Khaali Panne aur Kalam ka sath..
Jo the berang aur khali panne,
Un par ab thi syahi padi,
Man to ab bhi kuch aur soch raha tha,
Par khali paano par kalam ki thi rangat chadi..
Jiske panne the saaf saaf,
Chahti thi unpar kuch likhna,
Par man naa de raha tha sath..
Kabhi chaha likhna bachpane par,
To kabhi budhaape par likhna chaha,
Kabhi is desh ki durdasha par,
To kabhi jeevan ki dukhmai chaya..
Khaali panna taras raha tha,
Hawa ke jhonke se ud raha tha,
Cho raha tha meri ungaliyon ko,
Mujse kuch accha likhne ko keh raha tha..
Hath main kalam thi syahi bhari,
Jakdi padi thi ungaliyon main meri,
Vo bhi chahti thi kuch likhna,
Chahti thi un safed panno ko rangdena..
Aakhir maine socha bohot,
Phir bhi naa dhund pai koi accha marg,
Aankhen uthakar jab dhyan se dekha,
To khuli kitab par paya --- Khaali Panne aur Kalam ka sath..
Jo the berang aur khali panne,
Un par ab thi syahi padi,
Man to ab bhi kuch aur soch raha tha,
Par khali paano par kalam ki thi rangat chadi..
Subscribe to:
Posts (Atom)