Kholi maine ek kitaab,
Jiske panne the saaf saaf,
Chahti thi unpar kuch likhna,
Par man naa de raha tha sath..
Kabhi chaha likhna bachpane par,
To kabhi budhaape par likhna chaha,
Kabhi is desh ki durdasha par,
To kabhi jeevan ki dukhmai chaya..
Khaali panna taras raha tha,
Hawa ke jhonke se ud raha tha,
Cho raha tha meri ungaliyon ko,
Mujse kuch accha likhne ko keh raha tha..
Hath main kalam thi syahi bhari,
Jakdi padi thi ungaliyon main meri,
Vo bhi chahti thi kuch likhna,
Chahti thi un safed panno ko rangdena..
Aakhir maine socha bohot,
Phir bhi naa dhund pai koi accha marg,
Aankhen uthakar jab dhyan se dekha,
To khuli kitab par paya --- Khaali Panne aur Kalam ka sath..
Jo the berang aur khali panne,
Un par ab thi syahi padi,
Man to ab bhi kuch aur soch raha tha,
Par khali paano par kalam ki thi rangat chadi..
Tuesday, July 10, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment