Aasan nahi hai is pal ko samajna,
Waqt bhi na samaj paya ise,
Rehte hain chaaron taraf waqt ke ye,
Phir bhi prashan bankar reh jaten hai uske maathe par,
Kya yehi hai Pal.
Kabhi ummedon se bahara,
Kabhi khushiyon se bahara,
Kabhi gam se bhara,
kabhi narazgi se bhara,
Kya yehi hai Pal.
Sabko jakde rakha hai isne,
Aacha ho to khusiyan de jata hai,
Bura ho to dukh de jata hai,
Koi nahi janta iska ant kahan hai,
Kya yehi hai Pal.
Kabhi ise soch main buna jata hai,
Kabhi ise kaam main dhala jata hai,
Jo jeet jata hai iski takat ko,
Use harpal yaad kiya jata hai,
Kya yehi hai Pal.
Iska kisiko andaza nahi hai,
Kab badlega khushi se gam main,
Haste muskurate chehron ko bhi,
Kab mod jayega dukhon ke gam main,
Kya yehi hai Pal.
Shayad yehi hai Pal,
Laakhon ki zindagi apne hath liye chalta hai,
Soch ko bhi apni mutthi main band kar leta hai,
Palak ke jhapkate hi Sab badal jata hai .
Haan yahi hai Pal.
Tuesday, July 25, 2006
Sunday, July 16, 2006
Muskurati Aankhen
Timtimati bhi hain,
Khilkhilati bhi hain,
Garajti bhi hain,
Sharmati bhi hain,
Muskurati Aankhen.
Itni Akarshak hain ye,
Bin bole bata deti hain,
Jo zaban se bhi na kahi jaaye,
Us baat ko jata deti hain,
Muskurati Aankhen.
Itni bhavook hain ye,
Jo bhavnaoon ko har kadar jata deti hai,
Krodh main uthao to lal,
pyar main uthao to garam ho jati hai,
Muskurati Aankhen.
Kisike intezaar main bhatakti bhi hain,
Kisike deedar ko tarasti bhi hain,
Dikhte hi naa janae kya hota hai inhe,
Aasooyon main izhaar jhalka deti hain ye.
Muskurati Aankhen.
Kaid hai har raaz in kaanch ki pootliyon main,
Judi hai is tarah dil - o - dimag se,
Sochti hai to badalti hain roop,
Dhadakti hai to keh jaati hai sab kuch,
Muskurati Aankhen.
Inke haathon main band hai hum sabki aashayen,
Ye na hoti to kya ban pata ye jahan,
Dikhati hai hume sapne aise aise,
Majboor hota hai dil unhe poora karne ko wahan,
Muskurati Aankhen.
Andekhe ko bhi aisa pratit karwati hai,
Vicharoon ko bhi sharir de jati hai,
Gidgidata hain man inke kadmon par,
Kehta hai kyun soch ko bhi itna rangeen bana jaati hain,
Muskurati Aankhen.
Khilkhilati bhi hain,
Garajti bhi hain,
Sharmati bhi hain,
Muskurati Aankhen.
Itni Akarshak hain ye,
Bin bole bata deti hain,
Jo zaban se bhi na kahi jaaye,
Us baat ko jata deti hain,
Muskurati Aankhen.
Itni bhavook hain ye,
Jo bhavnaoon ko har kadar jata deti hai,
Krodh main uthao to lal,
pyar main uthao to garam ho jati hai,
Muskurati Aankhen.
Kisike intezaar main bhatakti bhi hain,
Kisike deedar ko tarasti bhi hain,
Dikhte hi naa janae kya hota hai inhe,
Aasooyon main izhaar jhalka deti hain ye.
Muskurati Aankhen.
Kaid hai har raaz in kaanch ki pootliyon main,
Judi hai is tarah dil - o - dimag se,
Sochti hai to badalti hain roop,
Dhadakti hai to keh jaati hai sab kuch,
Muskurati Aankhen.
Inke haathon main band hai hum sabki aashayen,
Ye na hoti to kya ban pata ye jahan,
Dikhati hai hume sapne aise aise,
Majboor hota hai dil unhe poora karne ko wahan,
Muskurati Aankhen.
Andekhe ko bhi aisa pratit karwati hai,
Vicharoon ko bhi sharir de jati hai,
Gidgidata hain man inke kadmon par,
Kehta hai kyun soch ko bhi itna rangeen bana jaati hain,
Muskurati Aankhen.
Thursday, July 13, 2006
Zindagi Ka Ant - 7/11/2006
khushali ke kadmo par chal rahi thi zindagi,
Haste khelte lehra rahi thi zindagi,
Socha na tha aisa koi khelega shadyantra,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Ab maan udas hai,
Harpal dehshat ka dil main baas hai,
Aisa, socha bhi na tha kisi ne,
Kal ka suraj kiske naseeb ke sath hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Katheen kadmo par chalne wali ye zindagi,
Anginat rangon main bankar rehjati hai,
Tinka tinka ikkatha karkar jeene waalon par,
Kya maut bhi is kadar rooth kar aati hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Naseeb kahoon ya chaal kisi ki,
Aakhir kiya to jeena behaal hai,
Jinke aashiyaane chalte the unke baloon par,
Aaj unhi ke aashiyano ka na koi rakhwaal hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Karenwale ne jo kiya hai,
Sehne walon ne woh saha hai,
Sehne wale to sehkar chale gaye,
Ab karnewale ke ant ka intezaar hai,
Isiliye Tehraya hai maine naam zindagi ka ant.
Haste khelte lehra rahi thi zindagi,
Socha na tha aisa koi khelega shadyantra,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Ab maan udas hai,
Harpal dehshat ka dil main baas hai,
Aisa, socha bhi na tha kisi ne,
Kal ka suraj kiske naseeb ke sath hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Katheen kadmo par chalne wali ye zindagi,
Anginat rangon main bankar rehjati hai,
Tinka tinka ikkatha karkar jeene waalon par,
Kya maut bhi is kadar rooth kar aati hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Naseeb kahoon ya chaal kisi ki,
Aakhir kiya to jeena behaal hai,
Jinke aashiyaane chalte the unke baloon par,
Aaj unhi ke aashiyano ka na koi rakhwaal hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Karenwale ne jo kiya hai,
Sehne walon ne woh saha hai,
Sehne wale to sehkar chale gaye,
Ab karnewale ke ant ka intezaar hai,
Isiliye Tehraya hai maine naam zindagi ka ant.
Thursday, July 06, 2006
Iska Naam Pada Tha Zindagi
Shuruwat hui thi ek kaal kothri se,
Jante na the apna koi maksad,
Naa to koi thi aanch,
Naa to koi thi mushkil,
Iska naam pada tha zindagi.
Andhere se roshni main ana,
Roshini se ghor andhere main jana,
Naa jeene ka josh,
Naa apno ka hosh,
Iska naam pada tha zindagi.
Kamar kaskar bhagaati bhi hai,
Rulati bhi hai hasaati bhi hai,
Gamo ki gehrai se dukhati bhi hai,
Khushi ke aalam main muskurati bhi hai,
Iska naam pada tha zindagi.
Jeevan nahi hai asan is tarah,
Jeena padta hai marmarkar,
Jana chahti hun usi kaal kothri main,
Rehna chahti hun usi andheri nagri main,
Shayad usi ka naam pad jaaye zindagi.
Jante na the apna koi maksad,
Naa to koi thi aanch,
Naa to koi thi mushkil,
Iska naam pada tha zindagi.
Andhere se roshni main ana,
Roshini se ghor andhere main jana,
Naa jeene ka josh,
Naa apno ka hosh,
Iska naam pada tha zindagi.
Kamar kaskar bhagaati bhi hai,
Rulati bhi hai hasaati bhi hai,
Gamo ki gehrai se dukhati bhi hai,
Khushi ke aalam main muskurati bhi hai,
Iska naam pada tha zindagi.
Jeevan nahi hai asan is tarah,
Jeena padta hai marmarkar,
Jana chahti hun usi kaal kothri main,
Rehna chahti hun usi andheri nagri main,
Shayad usi ka naam pad jaaye zindagi.
Subscribe to:
Posts (Atom)