khushali ke kadmo par chal rahi thi zindagi,
Haste khelte lehra rahi thi zindagi,
Socha na tha aisa koi khelega shadyantra,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Ab maan udas hai,
Harpal dehshat ka dil main baas hai,
Aisa, socha bhi na tha kisi ne,
Kal ka suraj kiske naseeb ke sath hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Katheen kadmo par chalne wali ye zindagi,
Anginat rangon main bankar rehjati hai,
Tinka tinka ikkatha karkar jeene waalon par,
Kya maut bhi is kadar rooth kar aati hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Naseeb kahoon ya chaal kisi ki,
Aakhir kiya to jeena behaal hai,
Jinke aashiyaane chalte the unke baloon par,
Aaj unhi ke aashiyano ka na koi rakhwaal hai,
Tehraya hai ise maine naam zindagi ka ant.
Karenwale ne jo kiya hai,
Sehne walon ne woh saha hai,
Sehne wale to sehkar chale gaye,
Ab karnewale ke ant ka intezaar hai,
Isiliye Tehraya hai maine naam zindagi ka ant.
Thursday, July 13, 2006
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
more personal than the first one. Isn't it dear?
wah Ustad wah!!!
Post a Comment