Shuruwat hui thi ek kaal kothri se,
Jante na the apna koi maksad,
Naa to koi thi aanch,
Naa to koi thi mushkil,
Iska naam pada tha zindagi.
Andhere se roshni main ana,
Roshini se ghor andhere main jana,
Naa jeene ka josh,
Naa apno ka hosh,
Iska naam pada tha zindagi.
Kamar kaskar bhagaati bhi hai,
Rulati bhi hai hasaati bhi hai,
Gamo ki gehrai se dukhati bhi hai,
Khushi ke aalam main muskurati bhi hai,
Iska naam pada tha zindagi.
Jeevan nahi hai asan is tarah,
Jeena padta hai marmarkar,
Jana chahti hun usi kaal kothri main,
Rehna chahti hun usi andheri nagri main,
Shayad usi ka naam pad jaaye zindagi.
Thursday, July 06, 2006
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment