Man ke andhere mian jhankakar jab dekha,
Halki si lau mujhe dikh rahi thi,
Zara paas akar use jab dekha,
Umeed apna daman faila rahi thi..
Bhara pada hai man kai shankaon se,
Dard se, Musibaton se, Taklifon se,
Fir bhi nidar bana pada hai, Kyunki..
Zara paas akar use jab dekha,
Umeed apna daman faila rahi thi..
Ladna jo sikha jaaye,
Befikar bana jaaye,
Jeevan ke har roop se jhunjana shikajaye,
Zara paas akar use jab dekha,
Umeed apna daman faila rahi thi..
Itna himmatwala hai iska naam,
totate hue ko sambhale wahi,
Basti to har kisi main hai,
Bas! Jagana jaan le ise koi..
Zara paas akar use jab dekha,
Umeed apna daman faila rahi thi..
Khatam karun is sangharsh ko,
Jo jatana chah rahi thi sabse,
Jiska matlab aaj maine jana hai jo,
Bas wahi UMEED ka DAMAN faila rahi thi tabse...
Wednesday, April 25, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Wowww!!!
this was amazzzzzzzzzing!!
too good!!
reallyl its a "Maven's" work!!
hats of too u and lots of applause too!
Applause...Applause
am ur fan! :-)
Post a Comment